Hi I am Shahab!
2018 ka saal tha… aik aam sa din, jab maine Fiverr pe apna pehla gig banaya. Na koi mushwara dene wala, na koi guide. Sirf ek umeed thi… aur dil mein ek jazba ke kuch kar guzarna hai.
Jab doosray Level 1 ya Level 2 sellers ko dekhta tha, to dil mein sirf aik soch hoti thi:
“Yaar inhon ne kaise kiya? Main kab yahan tak pohnchun ga?”
Fir ek din wo email aayi… first order – $5 ka.
Client ne kaha mujhe yeh website CSS ka fix chahiye. Maine bina waqt zaya kiye 1–2 ghantay mein fix kar dia. Jab order deliver kiya, client ne na sirf 5-star review diya, balkay $5 ka tip bhi diya.
Us din ka ehsaas… wo khushi, wo motivation… ab tak yaad hai. Lekin is $5 ke baad sab kuch aasaan nahi tha.
Struggles shore hue…
- Din raat ka farq khatam ho gaya, na koi chhutti, na koi Sunday.
- Kabhi clients samajh nahi aate thay, kabhi projects time pe deliver nahi hote thay.
- Time management worst tha, lekin chhorna nahi tha.
Phir Level 1 mila… Phir Level 2…
Aur phir aik lambi “stuck” wali phase. Wo phase jahan lagta hai sab kuch ruk gaya hai.
Us waqt maine aik faisla liya:
“Ab sirf paise kamane ka nahi… quality deliver karne ka socho.”
Client ke business ko kaise grow kar sakta hoon? Unki revenue kaise barh sakti hai? Jo kaam le raha hoon, kya main usme expert hoon? Kya main truly unko help kar sakta hoon?
Iss mindset ne sab kuch badal diya. Fiverr ne jab Success Manager ka feature launch kiya, to maine instantly apply kiya. Meetings hoti rahin… unhone guide kiya, galtiyan batayin, improvements suggest ki.
Aur aik din…
“Congratulations, you’ve been promoted to Top Rated Seller!”
Screen pe yeh words dekh kar aankhon mein aansu aa gaye… lekin woh khushi ke thay.
Maine decide kiya ke sirf freelancer nahi… ab business banana hai.
Issi mission ke sath maine CodeCapital.tech ka aghaz kiya. Aaj mere sath meri ek zabardast team hai — 12 logon ka ek dedicated software house. Hum Pakistan ke clients hi nahi, international brands ke sath bhi kaam kar rahe hain.
Fir maine socha…
“Agar itna sab kuch kiya hai, to Fiverr Pro kyun nahi?”
Confidence tha apne kaam pe. Apply kiya… aur short time mein Fiverr Pro badge mil gaya. Wajah? Apne aap pe bharosa aur clients se earned trust.
Aaj bhi seekh raha hoon, grow kar raha hoon… Har naye freelancer se sirf yahi kehna chahta hoon:
Start chhota ho sakta hai, lekin soch badi honi chahiye. Waqt lagta hai, lekin agar niyat aur dedication sahi ho, to manzil milti hi hai.
Agar main kar sakta hoon, to aap bhi kar sakte ho. Bas rukna mat. Seekhna band mat karo. Aur kabhi bhi apne aap ko underestimate mat karo.
“Line mein lag rehna zrori hai”
Agar aap bhi apne freelancing career mein success chahte hain, to sab se pehle apne kaam mein excellence layein. Client ke saath har project ko ek opportunity samjhein, unki business growth mein madad karein. Apni skills ko continuously improve karte rahiye, aur apne goals ko kabhi bhi chhota na samjhein.
Sab se zaroori baat:
Kabhi bhi apne aap ko underestimate mat kariye. Har struggle, har setback aapko kuch seekhane aata hai. Agar aap apni mehnat, dedication, aur positive mindset ke sath kaam karenge, to aap ki manzil bhi aapke hi haath mein hogi.
Inspired by Shahab's journey? Visit his Fiverr profile to explore his work and see how he does it.